Hi friends Is Tutorial me main apko Adobe Photoshop ke dwara website logo Banane (design karne) ka simple tarika batunga. Logo kisi bhi blog/website ki pahchan hote hain. Waise to logo Memorable hona chahiye , jo apke audience ko yaad rahe. Lakin aise logo professional designer hi design karte hain. Agar aap apna logo Khud banana chahte hain to Aap sahi jagah par hain.
Photoshop se Website logo kaise banaye
Blog logo banane ke liye ye steps follow karein-
1. Photoshop open kare aur Ctrl+n press karke ya File>new se new Document create kare. jiski Width 400 pixels aur Height 100 pixels par set kar de. Aur Resolution 72 pixels/inch par set kare. jaisa picture me hai
2. Ab typing tool par click karke Apne blog ka naam type kare. font aur font color ab koi bhi choose kar sakte hain jo apko accha lage.
(Drop shadow: Structure:Blend Mode- Multiply, Opacity- 60%, Angle-120, Distance-5, Spread-0,Size-5, Stroke: Structure: Size-3, Position- Outside, Blend Mode- Normal.)
4. Click Ok Apka logo kuch aisa dikhega.
Almost Done. next step me hum kuch effects add karenge.
5. Ek new layer create kare (Shift+ctrl+N or Layer>New Layer>Ok).
6. Elliptical Marquee tool Par click kare aur ek selection banaye,
7. Ab jo apne selection kiya tha usey fill kar de ( Ctrl+Delete). ye kuch aisa lagega.
8. Is layer ki Opacity 50% par set kare de.
9. Apka logo Ready hai. Apka Logo kuch is tarah lagega.
10. Now Kuch keyword add karte hain. Jaise Internet, blogging aur Technology ( ya phir jissey related apka blog ho aap wo keyword use kar sakte ho).
Done! Aapka Logo Complete hai Ab aap isey save kar sakte hain.
save karne se pahle Background layer ko hide kar de aur logo ko Png format me save kar le.
Aap isey Accha bhi website logo bana sakte hain lakin mujhe lagta hai ye bhi sahi hai un logo ke liye jinhe photoshop ki jyada Nnowledge nahi hai. Agar Apko ye Tutorial pasand aye to share jarur kare.
Brother ek help chahiye pehale we word press pe mouzood blog website ko kaise delete karte hair air Kya usi gmail I’d pe new blog website banana sakte hair……I am waiting for our answer…..
WordPress Blog delete karne ke liye. simply use hosting se uninstall kar do.
han bana sakte hain.
Nice article… mujhe youtube channel ke liye logo banana hai, koi app suggest kare